amliyat kala jadu




NAZRIYA E TASEER:

Amliat ka ek zabta he ek tariqa e kar he, jab amil uskay mutabiq amal
karta he to kuch din bad taseer zahir hoti he or jab amal khatm ho ta
he to uska asar bhi mulahizaho jata he, aksar oqat amal me taseer
zahir nahi hoti, halanke tamam tar qawanin or
sharait ki perwi se amal kia jata he, koi bhi wazifa ya amal jo qurani
ho dar asal Allah se hajat rawai ki dua hoti he, baz oqat Allah hi ki
taraf se dairhoti he ya kam esa hota he jo shariyat ke manafi hota he,
to jahan amal nakam hota he wahan sath sath amil bhi gunah gar hota
he. Zamin o asman ke tamam khazanon ki kunjiyan Allah hi ke paas hain
jisay chahta he ataa karta he jisay chahta he mehroom rakhta he, lekin
koshish karnahamra farz he Allah ne farmaya
لیس للانسان الا ما سعیٰ
Beshak insan keliy wahi kuch he jiski wohkoshish karta he, saher or
jadoo ka hona quran se sabit hemagar quran me ye bhi wazeh kia gya
surabaqra me ke jaddo ke asar ka hona bhi Allahhi ke hukm se he jab
woh chahta he jadoo ka asrar hota he jab woh nahin chahta jadoo ka
asar nahin hota. Isliy chahy ap koiqurani amal karain chahy koi sifli
amal, kamyabi tabhi hoti he jab Allah ka hukm ho, ham dua mangtay hain
agar qabool nahin hoti to wesay hi qurani amal se agar apka maqsad
hasil nahin hota to phir karain.
Amilin ke nazdik taseer kisi ism e ilahi ya ayat e qurani ki tabhi
zahir hoti he jab amil sharai ehkam ki baja awri kary or musalsal vird
rakhy to ek din esa ata he he ke us ism ya ayat ka muakil amil se
manoos ho jata he, usky bad jab bhi woh ism ya ayat ka wird kisi
maqsad keliy kartahe to maqsad baht jald hath ata he. ab zahir he har
ism ya harayat ki zakwat ada karna mumkin nahi, touskeliy amilin ka
nazriya he ke haroof etahiji ki zakawt ada kar di jay to mazid kisiism
ya ayat ki zakat ada karny ki zaroorat nahi rehti kiuke har ayat ya
har ism inhi 28haroof se bana he. ab jin logon ne hamzad ka qurani
amal karna he to woh agar koi bhizakat adaa na karain to agar taseer
zahir nahi hoti to doosry ya teesray chily me lazim maqsad hath ay ga
hamzad hazir hoga, or
jo shakhs jis ism ya ayat ka pehly hi se amil he uski zakat ada kar
chuka he agar woh usi ism ya ayat se hamzad ka amal kary ga to natija
bahot jald samny ay ga. is tarah jin logon ne haroof e tahaji ki
zakwat ada ki ho unhain bhi taseer jald mulhiza ho gi unkay har amal
me chahy woh jo bhi amalkarain. Har shakhs ye chahta he ke amal asan
ho, kam se kam dino ka ho or kamyabibhi yaqini ho to uskeliy do batain
zehnme rakhain ke ya to zakawt e haroof e tahaji ada karain pehlyya
phir usi ayat ya ism se amal karain jis ke ap amil hain, or agar ye
bhi ap se nahi hota to phir yaqeen or wasooq se amal e hamzad e qurani
karain or agar hamzadhazir na ho to doosra or teesra chila bhi karain.
ye waqiatan haqiqt he ke aksar pehly chila me hi manzil mil jati he
amalka poora na kar pana ek alag bat he lekin kabhi kabhar taseer
zahir nahi hoti to uski sirf do hi wajoohat hoti hain ya to amil gher
sharai afal se gurez nahi karta tark enamaz karta he waghera waghera
ya zakwat ada nahi ki hoti.
Jis tarah se qurani amal keliy ap keliy lazim he ke tamam shetani
kamon se ijtinab bartain wesay hi shetani amliat me ap neki or bhalai
se door rahain, quran majid ki tilawat, som-o-salwat wghera ki
matliqan ijazat nahi hoti, hata ke aksar shetani amliat kiy hi nijas,
napak or halat e junab me reh kar jaty hain. Jo log be deen hain
ibadat se jinka door ka bhi wasta nahin ya woh log jo siray se Allah
ke wajood ke hi munkir hain esay log esay amliat me jald kamyabhoty
hain lekin jab bhikoi muslman esa amalkarta he to usky andarkaimanusky
amal ki taseer me kami waqia karta he or baz oqat nakami bhi hoti he.
Isliy muslman hazrat
ko esay amal se door rehny ki talqin ki jati he qk qasdan na sahi
magar sehwan unky mu se koi esa kalma nikal hi jata he or bas wahi ek
lamha jab usky mu se koi esa kalma nikalta he amal zaya ho jata he qk
dil se to woh pehly bhi saheb e iman hota he or ab zuban ne bhi tasdiq
kar di, lekin jo log be deen hain unkymu se agar koi esa kalma nikal
bhi jay to choonke unky dil ki tasdiq sath nahi hoti unka amal zaya
nahi hota.
jafr ke amliat sab se asan hoty hain or sab se ziyada nakam bhi yahi
hoty hain, me ne pehly bhi wazeh kia kejab bhi ap jafr ka koi amal
karain chahy hamzad ka ho chahy koi deegar amal apko mizaj or najoom
ke deegar tamam qawanin pe amal pera hona pary ga or isi mehi ghalti
ka imkan sab se ziada hpta he aksar oqat ek tajrba kar amail se bhi
ghalti ho jati he, lihaza jafri amaal aksar wahi log karty hain jo
najoom or jafr se ba qaida taluq rakhty hain.
Koi bhi amal karny se pehly dekhain ke amalkesa he? qurani he, sifli
he shetani he ya phir jadoo ka makoos ayat ka amal. jis qism ka amal
ho ap ko wesay hi rehna hoga, wesi hi pa bandiyan hon gi ap par. me ek
bar phir wazeh kar doon ke jo hazrat qurani amal karain un pe najoom
or jafar ki kisi qaidi ki pervi ki koizaroorat nahi, or jahan pe
parhez e jilaliya jamali ho to agar ap na karna chahain to raoza
rakhain apko parhez karny ki zaroorat nahin rahy gi.balke parhez e
jilali me to kuch amilin esi chizen bhi shamil kartyhain jin ka karna
wajibhe har muslman par magar parhez e jilali kiwaja se ap nahi kar
sakty, maslan under arm shaving ya pubic hair removing. jabke amlin ka
ek tabqa kehta he ke nahi ye tozaroori he ap kar sakty hain, or meri
zatiray ye he ke lazmi karain qk agar qurani amal ho or ek shakhs sari
rat to quran ka wird kary or 40 din is alam me guzar day ke us ne
pubic hair bhi remove na kiy hon to ap khood sochain uska khana pina
kia makrooh nahin hoga? kia uski dua me asar hoga? yad rakhain qurani
amal khawa koibhi ho Shariyat e Islami hi apki guide or rehnuma he, ap
apny aqiday or apny maslakke mutabiq chalen, kisiamail ke kehny pe koi
esi chiz na karain jo apko shariyat se door le jay, quran k amliat
mekamyabi chahty hain to quran pe amal karain. parhez e jilali jamali
mehz zabt e nafs keliy he iska sirf yahi maqsad he jab keroza zabt e
nafs bhi he or sawab or qurb eilahi ka zaria bhi, isliy mery nazdik
rozadar rehna parhez e jilali yajamali karny se afzal he. or me ne
hameshaisi pe amal kia or jab bhi is pe amal kia kabhi mayoos nahi
hua.