MORE INSTRUCTIONS FOR HAMZAD RITUALS

KAMRA KI SHART:

hamzad ke amal keliay me ne sharait me kamray ke mutaliq likha ke jab tak amal ho ga chahy
jitny din ka bhi amal ho us kamra me siway aamil ke koi dakhil na ho, aksar bhaiyon ko ye shart bahot mushkil nazar ati he, ye shart hamzad ke amal ke sath makhsoos he, yaqin maniy ke ye to shart ka ek hisa he warna haqiqat main or asoolan to jo kamra muntakhib kia jay woh abadi se door ho, wehm bhi na ho ke wahan doran e amal koi or
shakhs pahnch sakta he or ghar me ho sakta he hamzad ka amal, aj ke dor me dihat me to esay makan mil jaty hain shaher me bahot mushkil he, magar yad rakhain ke agar ap ghar me kamra ka intkhab karty hain to bilkul theek he koi mazaiqa nahin, magar shart ye he k dorane amal kisi ki awaz kano tak na pahnchay, chahy hamzad ke ilawa
bhi kisi taskheer ka amal ho shor o ghul ki ijazat nahin, abadi se door makaan dhoondhnay ki mutadid wajoohat hain qk agar ap ghar me amal start karty hain or amal ke doran koi function jesy shadi biyah start hua to amal zaya samjhain qk esay shor o ghulme amal karna mehz waqt zaya karny wali bat he, doosri waja ye he k ghar me amil hamzad se bahot dhokay khata he, kabhi achanak ronay ki awaz ati he jesay ghar ka koi banda fot ho gaya or esi halat me acha khasa tajarba kar amil bhi dhoka kha keuth jata he, kabhi lagta he ghar me aag lag gai, kabhi mehsoos hoga ke ghar me hadsa ho gya orapko hospital jana he, to inhi wajoohat ki bina pe abadi se dooramliat kiy jain to behtar he. in short hamzad ke amliat jo tasawr ke hain or un me kuch prha na jay un me ye shart nahi magar jo amliat hain mustanad un me ye shart poora karna ho g.

AMIL KI POSITION:
amal ke doran amil keasy nishist rakhay? beth ke amal kary ya khara ho k to yad rakhiy 'amal e aftabi' hamesha or hamesha kharay ho ke kia jata he jabke digar tariqon me amil ki apni marzi he chay beth ke karay ya kharay ho kar, lekin agar amal me koi khas hidayat ho beth ke ya kharay ho ke karny ki to wahi karain, ye mumkin nahin hota ke har amal ke sath tamam hidayat bar bar likhi jain isliy tamam hidayt wahi rehti hain han albata libas, nishist, ya khas bakhoor likha ho to sirf usi hidayat pe amal karain jo amal ke sath likhi he amal ke sath koi khas shart nahin likhi to jo blog ke shuroo me hidayat me likha he usi pe amal karain.

CHARAAGH:

amal keliy khas charagh likha ho jesay pital, kaansi, matti to wahi istmal me lain warna jo apko muyassar ay wahi istimal karain, yad rakhain ke ap lamp bhi istimal kar sakty hain agar khas hidayat na ho magar bulb ya energy saver hargiz nahin, qk roshni ap ne aag se leni he jesay marzi lain, ap candle bhi use kar saktay hain koi mazaiqa nahin. magar jis amal me likha ho ke falan oil ya ghee istimal karain ap ne wahi karna he, kabhi bhi hamzad ke amal me karwa oil istmal karnay ki ghalti na karain.

HISAAR:

hamzad ka aml agar qurani he to
ayat al kursi gyara(11) bar parh ke or
awal o akhir 11 bar darood e ibrahi hathon pe dam kar ke tamam badan pe hath phair lain or amal shuroo karin. ye apka badni hisaar he koi chiz nuqsan na day gi, qurani amal me kabhi bhi or kisi bhi soorat main circle laga ke hisaar nahin karna hamzad ke amal me warna ap kabhi bhi kamyab nahin ho sakty chahy poori ummar amal karty rahain qk hamzad ke amal me hisar nahin kia jata or uski waja yehe ke agar ap amal se pehlay hisaar kar letay hain to hamzad ap ke jism se bahar naikal ke ap kay samnay aa hi nahi pay ga or hisaar ki mojoodgi me wo kabhi bhi ap ke jism se bahar nahin ay ga, quran e majeed me hamzad ko qareen kaha gaya yeni sathi, usay Allah ne insan ka sathi bana ke dunia me uskay sath lagaya heap cahahain bhi to usay bhaga nahin sakty ye qanoon e qudrat he jisay koi bhi amil nahin badal sakta, or agar ap ne sifli ya shetani amal karna he to circle wala hisar ap kar saktay hain qk un amliat me hmzad ki bajay koi or makhfi shetani quwat apkay samny zahoor pazir hoti he, isliy jin hazrat ne mehz kam lena he wo koi bhi amal karain unhain farq nahin parta or jin hazrat ne waqai apnay hamzad ko massakhar karna he wo hazrat qurani amal karain ya phir koi esaamal jis ki sehat mushtaba na ho or yaqin ho ke hamzad hi samny ay ga, jo jadoo ke makoos amliat k amliat hain un me hamesha hamzad hi samnay at he, esa biyan karnay ki zuroorat isliy mehsoos ki qk shayad baz hazrat sifli, shetani or jadoo ke amliat koek hi chiz na samjh lain, isliy iski detail pe main ne pehlay bhi ek post likhi he.