jinn ko bolana





HAMZAD KA DARJA:

baz hazrat ye sawl karty hain ke is
amal me hamzad kis darja ka hoga to me apko aj woh bat batanay laga hoon jo aj tak apko kisi ne nahin batai ho gi, ap booksme parhtay hain ke hmzad quwatke hisab se 4 darja ka hota he, uski haqiqat pe bhi roshni daal doon qk is se enda keliy amal dekhty hi apko pata chal jay ga ke is amal ka hamzad kitna qawi hoga, mohtram hazrat, me ne hamzad ki quaton pe is blog me ek post likhi he or hamzad me ye tamam quwatain hoti hain, phir akhr q amilin ne hamzad ko 4 darjon me taqsim kia he to uski haqiqat ye he ke jesa ap amal muntakhib kartay hain usi hisab se ya to apkay samnay hamzad ata he ya koi or chiz, agar ap ne qurani amal kia or kamyab huy toapkay samnay hamesha hamzad ay ga or us me ye tamam quwatain mojood hon gi or agar ap ke samnay hamzad ki bajay koior chiz zahoor pazir hui to jesi wochiz he usi hisab se uski salahiyatain hon gi... yeni ke hamzad ke darjay nahin hoty hamzad sab ka ek jesi salahiyat rakhta he magar jin logon ke samnay unki shakal me koi jin ya kisi mantar ka beer zahhor pazeer hota he wo kam quwat rakhta he, isliy amlin hamzad k 4 darja bataty hain, me ap se ek batpoochta hoon ke hamzad ko jism e latif kehty hain or jab ap ke samnay apka hamzad mojood ho apki ghulami me bhi ho or woh ap se khana mangay ya ap usay choo sakain kia woh apka jism e latif hoga? nahin wo apka hamzad nahin mehz apka ham shakal jin ho ga or woh bhi koi khabis jinn.

HAMZAD KI FITRAT:

hamzad ki do(2) fitrat hoti hain jab qurani amal se hamzad masakhar
kia jay to woh baht narm mizaj or
narm guftar hota he, had darja muadib, or jab ayat e makoos se masakhar kia jay to us me ghusa ziada hota he, barbadi ke kam kar ke bahot khushi mehsoos karta he, baqi sifli or shetani amalme agar hamzad samnay aya he ya koi or chiz donon soorton me wo burai ki taraf ziada mail hota he or yahan par bhi ek nukta samjh lain ke qurani or makoos amal wala hamzad har kam kartahe chahay acha chahy bura bas muaida ke khilaf na ho, magar sifli hamzad achai ke kam se dil churata he chahy hamzad ho chahy kuch or, or shetanui amal ka natija chahy hamzad ho chahy kuch or wo bhalai or neki ka hukm nahin manta or me ne to yahan tak dekha he ke baz oqat amil ko bhi neki se door rehnay pe majboor karta he, me ek amil ko janta hoon un ko shetani hamzad namaz ada nahi karnay deta tha quran nahin parhnay deta tha jab bhi woh amil esa karta 2,2 3,3 din tak sar dard usayronay or chikhnay pe majboor kar deta.

ERAAB:

amliat me erab lagany ke 2 qanoon mojood hain jo jafr ke qaida se hain magar jo nam ko palatnay wala amal hain us silsilay me batata chaloon ke nam ke erab har harf pe wahi rahain ge jo ke asal me mojood thay, yeni nam ke haroof ki tartib to ulat jay gi magar erab nahin badlay ga, agar pehlay jeem pe zabar thi to ab bhi zabar rahay gi,or jadoo ke amliat me jab kisi ayat
ko makoos likhtay hain to us ka erab bhi wesay ka wesa hi rehnay
dia jata he bas sirf tartib badal di jati he.

BAKHOOR:

Hamzad ke amal me agar koi khas bakhoor likha he to wahi use karain nahi to googal, loban, chandan, pipalgard or hing hamzad ke amal ka bakhoor he, or ye tamam chizain na kar sakain
to koi ek bhi kafi he.

PARHAIZ E JILALI:

is silsilay me hi log sab se ziada pareshan hoty hain ke kia karain to apko yahan ek gur or nukta ki bat bata doon ke parhez e jilali orwoh bhi tark e hewanat samet karna koi asan kam nahi or ye shart bhi har amal ke sath nahi yad rakhiy ke agar apka amal sirf qurani ayat ya sirf ismay ilahi ka he to ap ko parhez e jilali ki zuroorat nahin, or agar kisi amal e qurani ke sath ye shart likhi he to is shart ko bypass karna mumkin he or iska tariqa ye he keap rozadar rahain or sirf badboodar ashiya se parhaiz karain lekin agar jafri qawanin se ap ne azimat waza ki he to phir apko karna hoga, or sifli or shetani amliat ya makoos ayaat keamal me parhez az had zurrori he or koi khas parhez sath na likha ho to kisi mahir e ilm ki ray ke bina amal na karain.

LIBAS:

hamzad ka aml agar saaye se karna ho to hamesha chust jangia pehn ke karain amal ke sath libas ka nahin likha hota jab bhi amal say se karna ho yahi karna hoga han agar sath koi khas libas likha ho maslan ehram to wahi pehnain.

SAYAA:

Amal agar dhoop me karna ho to
waqt soorj ke taloo ya gharoob ka hargiz na ho qk us waqt saya baht lamba hoga jab sooraj nisf alnahar ke qarib ho tab karain, or agr charagh se amal karna he to charagh itna ooncha rakhain ke saya mutanasib banay bahot barra
na ban jay, or agr saya diwar pe banaya jay to bhi thi darust he us soorat me ap chagh ziada oonchana bhi rakhain to saya darust banay ga.

BATNI TASKHEER:

Batni taskheer infact hamzad se rabt peda karny or usay manoos karnay ka nam he, batni taskheer
ke
liay sharait bahot narm or asan hain. batni taskhir ke bad zahiri taskhir ka aml kia ja sakta he, batni taskheer ka jo amal me ne blog me pesh kia us me kamra me or koi dakhil na ho ki shart shamil nahin.