humzad




SHARAIT KI WAJOOHAT:


Aksar ahbab ne poocha ke agar hamzad ke amal ke sath falaan shart he to wo shart q he? uski mantaqi waj kia he? to yahan me kuch sharait or unki wajoohat bayan kar deta hoon. khanay pinay me jo chizain mana hain woya to nasha war ashiya hain ya badboodar ashiya, baqi ashiy q mana hain. to jin logon ne fiqa e islami parha he woh ye ilm rakhtay hain ke koi bhi chiz jo islam me mana he uski bhi koi na koi wajja or illat zuroor hoti he, isitarah roohaniat ka silsila he yahan bhi wajoohat ki bina pe hi sharait or parhaiz hain. khanay me jo ashiya mana hain unki wajaye he ke wo chizain ishtiha angez hain amal e hamzad me to jazbat ko bharkany wali kitabain parhna bhi mana he to khay ki ijazat kesay ho sakti he. upar jo me ne likha ke agar ap roza dar rahen or ap qurani amal kar rahay hain to jilali parhez ki zuroorat nahin us se bhi shayad ap ke zehen me sawl utha ho ke akhir esa q he touski waja ye he ke roza bhi apko tamam fawahish se rok deta he qk hadis me ata he jo jazbat pe qaboo na rakh pay wo nikah karay takay pak rahay or agar iskiqudrat nahin rakhta to rozay rakhay. to agar roza nikah ke fazail ataa kar sakta he to kia parhez e jilali jesi mamooli chiz kobypass nahin kar sakta? or yad rakhiy ke parhez e jilali apko Allah ka qurb ataa nahin karta wo to bas zabt e nafs ka zaria he jabke roza zabt e nafs ka taqaza bhi poora krta he or qurbe Allah bhi ataa karta he, ap dekh sakty hain k hindoo bhi mantar ki sidhi keliy bart rakhna bataty hain, or jahan tak taluk he kamra ki shart ka uski kuch bat to me upar kar chuka uski or bhi mutadid wajoohat hain ek waja ye ke agar amal qurani he or koi napak shakhs kamra me dakhil hua to apkay amal pe buray asrat muratib hon ge doosri waja ye hedoosra jo bhi shkhs enter hoga uska hamzad bhi sath enter hoga or ap or apkay hamzad ka amal ka raz phir raz nahin rahay ga, doosri makhlloqat maslan jin hamzad ke amal me amil ko na to daraty hain na hi tang karty hain ye sab tamashay mehz hamzad ke hoty hain isliy mana kia jata he ke us kamra me or koidakhil na ho or ek shart ye he ke kamza khali ho or us me safaidi ho uski waja ye he ke agar kamrame saman mojood hoga to tawajamurtakiz ho g us taraf or ye ap khud tajarba kar lain ge ke hamzad kamra ki chizon ko cherta he, hata ke baz okat kamra me pari hui chiz ko itni zorse utha ke phaikay ga ke ao dangreh jain ge, ye shart zuroori nahinke kamzar khali ho saman mojood ho or ap tawaja say pe rakhna jantay hon ap amal kar sakty hain.