HAMZAD KI HAQEEQAT

HAMZAD KI HAQEEQAT



AAP ko maloom hoga Ashraf-ul-Makhlooqat ka hamzad ki haqeeqat k bary mei alag alag khayal hai baaz ka khayal hai k hamzad har waqt insan k sath rehta hai sath he peda hota hai aur sath he marta hai baaz is ko Shetan kehty hen aur iska yeh kaam btaty hen k aadmi ko bure kaamo mei lagata hai aur nek kaamo se rokta hai aur wo marne k baad bhoot preet ban jata hai

Is ki wajah yeh hai k is HAMZAD ki waja se insan gunah karta hai is mei itnh quwwat ho jati hai k agar insan mar jata hai to yeh phir bhi zinda rehta hai is mei itni taqat hoti hai k rooh'o'jism k alag hone per bhi woh insan se juda nahi hota is ko log bhoor kehte hen,
Baz ka khayal hai k HAMZAD ka jism'e'lateef insan ka saaya hai aur yehe saaya jab kisi aur shakal mei jata hai baat cheet karta chalta phirta hai aur kam kaj waghaira karta hai aur marne wale ka HAMZAD marta nahi hai chunancha jo amliyat murdo k liay karta ya kiay jate hen un mei wo zindah hokar chalne phirne lagta hai,
kehte hen k HAMZAD marne wale ka nahi hota bal k amil ka HAMZAD us marne waale mei dakhil ho kar kaam kaaj karta hai ,
aakhir mei maloom hota hai k HAMZAD ka jism zaroor hai khawah kisi shakal ka ho marne k baad fana ho ya zindah rahe.

HAMZAD K KAM"

HAMZAD mukhtakif qisam ki taaqaten aur ekhteyarat rakhta hai us ki waja yeh beyan ki jati hai k jesa koi kam kare ga wese he isko ekhteyarat aur taaqat hasil karne ka haq hoga aur yeh zaroori nahi hai k har aadmi ka HAMZAD aik alehda quwwat rakhta ho har kam mei aik khaas asar rakhta ho,

"HAMZAD K EKHTEYARAT"
(DARJA-AWWAL)

Sab se behtar aur jis mei insan ki sab se zeyadah mohabbat hoti hai aap aage parrhen ge lekin yahan sirf HAMZAD ki quwwato ka haal Tahreer kiya jata hai jo k is amal se zahir hoti hai.

1-Har aik jaga ka pata dena jo kaam wahan per hota hai ya ho raha hai us ki ittela dena.
2-Aik aadmi jis qadar wazan utha sakta ho aur utni cheez qeemat de kar laana.
3-Dosre mulk ki wo cheezen jo kisi aur mulk mei na hoti hon maslan hari soogi elaayechi ,long, badam waghaira.
4- har aik mard-o-orat jis ko chahiay aik dosre mei mohabat peda krna aur warghala kar k kisi qisam ka koi fasad barpa kar dena yani yeh us k HAMZAD ko warghala sakta hai,
5-Hukam dene per  jis k ghar chahe enten ya pathar phenkwana.

"EKHTEYARAT DARJA DOAM"

Dosra amal jis ko peda karne mei dosre darja ka ekhteyar krana us ki quwwaten hasb e zail hen ,

1- kisi dosri jaga ki khabar laana aur ittela dena

2- choti choti cheezen qeemat adaa kr k laana

3- jis cheez ko jahan chahe pohancha dena

"EKHTEYARAT DARJA SOAM"

Teesre darja k HAMZAD ki quwwaten yeh hen , "har aik shakhs k zameer ki aawaz aamil ko HAMZAD k zariay maloom ho sakti hai, matlb wala aadmi apna matlb aam logo k samne pooche kisi posheedah tareeq se logon ki khabar dena aur shohrat barrhana" zameer ka aisa roshan ho jana jis se aage ka haal dekhna ,deegar apne aaba o ajdad ka haal maloom krna

"HAMZAD SE KHARABIYAN"

Jo HAMZAD se kharabiyan hoti hen hasb e zail hen,

awwal, doam darja ka HAMZAD zindagi mei har aik kaam krne se rokta hai aur koi kaam bhi sar'anjam nahi hone deta bar waqt bethe bethaye khayalat ko apni taraf khenchta hai aur jab us ka dil mar jata hai to us k moun mei  Najasat daal deta hai aur baaz aadmio k jism mei halool kr jata hai ,
DOSRE DARJA ka HAMZAD insan ko chori krna sikhata hai aur har waqt fikr mei daale rakhta hai  har aik qisam ki khoshi krne se rokta hai aur us per buraye k aasar peda krta hai ,insan ko daleri k ekhteyarat deta hai woh ganda(napak) rehta hai aur aik libas rakhne ko pasand krta hai aamil to yeh chahta hai k tamam zindgi ko sudharo  lekin HAMZAD kehta hai k jis trah is ne mujh per tamam umar hakumat ki hai is tarah mei us se badla loun ga ,
Khalasa yeh hai k ROOH aur HAMZAD mei aik qisam ka muqabila ho jata hai is mei khawah ROOH kamyab ho khawah HAMZAD ,
TEESRE DARJA k HAMZAD marne k baad aamil per qaabo nahi paa sakta magar us ko gham mei daal deta hai aur har waqt us k dil mei dar wa khof rehta hai aur agar kisi k ghar bhi jaaye to barra dar hai samajhta hai k aisa na ho k mujhe koi maar de , matlb yeh k har waqt mout se darta hai aisa aadmi bohat mufeed sabit hota hai aur khud aam tor per bure khayalo mei phansa Rehta hai baaz oqaat dekha geya hai aise log dosro ko faayedah pohanchate rehte hen lekin apni zindgi ko kharab karte rehte hen aur KHUDA ko bhool jaate hen aur waqt laalach k phando mei phanse rehte hen jis se in ki zindagi tabah,o,barbad ho jati hai.

"HAMZAD KI KHARABIYON AUR TAKLEEFON KO DOOR KRNA"

Jesa k kharabiyon ka zikr oper aa chuka hai un mei baaz to aise hen k unko door kar sakte hen magar phir bhi thorri bohat kasar zaroor reh jaati hai matlb yeh hai k aik mei thorri bohat kami ki zaroor ho sakti hai ,jab HAMZAD ko agar beghair kuch diay bhi chorr diya jaaye to woh khud ba khud khabren sunata hai ,idhar udhar ki baato se ittela krta rehta hai is ka elaaj sirf yehe hai k aise haalat mei HAMZAD ko aise cheez jo k aapas mei mushkil se juda na ho sake de den aur woh barri mushkil se der tak is ko juda krta rehta hai aur itne arsa mei aap ko chahiay ya aur koye  kaam  jo is k sapurd ho kr sakta hai ,
Marte waqt takleef zaroor hoti hai , is liay munasib yehe hai k k marne se pehle HAMZAD ko chorr de aur khud apni ebadat kare keon k zindgi mei jitne kaam kiay hen un ka sila pura ho jaye zeydah ebadat karne se ROOH k kamzor ho jaane per maghloob ho jaane per maghloob ho jaane ka khatra rehta hai  HAMZAD ko chorrne ka tareeqa yeh hai k "raat ko ulta pajama pehan kar soye aur yad na kare k kisi barre darvesh kaamil ya wali e kaamil k mazar se faiz hasil kare"
TEESRE DARJA k HAMZAD se jo nuqsanat hote hen maslan gham mei parre rehna waghaira , yeh door to bilkul nahi ho sakte lekin haan thorri bohat kami zaroor ho sakte hai lekin weham o shak kisi haalat mei door nahi ho sakta aur baaqi takleefo k nuqsan mukammal krne ki tadbeer yeh hai k jab HAMZAD nabood ho jawe to bad sar (200) mrtaba aadhe din tak parrhe agar aisa na kar sake to subah-o-shaam din mei har roz ba'qayedah parrh liya kare agar naagha kiya  geya to asar zaayel hone ka khatra hai,
Har HAMZAD k nuqsanat ko door karne ka aam tareeqa yeh hai k 'har roz subah,shaam (101) mrtaba dil ko yak jaa kr k parrhe is k shuru krne se pehle NAHA DHO KAR SAAF SUTHRE ho kr parrhna chahiay hindo ka aik khaas maner bhi hai  , jo mandrajazail hai
MANTER: OM SAWANG HARANG HARI MAR KARISHAN  GURU SAWAHA"
is manter ki tarkeeb yeh hai k raat 12 baje naha dho kr 100 mrtba parrh liya kare to ummeed hai k nuqsanat mei kami hoskati hai.

"HAMZAD KO QABOO KRNE K LIAY CHAND SHARAYET"

HAMZAD ko qaboo krne wale ko chahiay k darjazail bato se bari ho.

1- langrra aur apahaj ya mazoor na ho
2- dimagh durust ho kisi qisam ki kharabi maslan sakta ,mirgi ya koi aisi kharabi na ho jis se behoshi k aasar paayen jaayen.
jis mei dekhne ki taqat na ho, yani andha ho ga wo HAMZAD ko qaboo nahi rakh sakta aur hatta k jis qadar benaaye kamzor hoge usi qadar HAMZAD ko qaboo krna mushkil hoga  yaani utna he zeyada arsa darkar hai ,
jis ki quwwat e roohani wa hewani kam hoge us ko bhi itni he dair lage
ge Is ki kami ki alamaat yeh hen
1- jamaa krne se ya kisi aur tareeqa se mada mardangi ko zeyada kharab kiya ho
2- bawaseer ki waja se khoon ka zaayel ho jana
3- mareez ekhtelaj ya khafqan mei mubtala ho
4- kisi qisam ki fikr rakhna mslan muqaddame mei harna ya qaid ho jaana ya kisi traf se dil udaas rehna waghaira waghaira

45 baras se zeyada umar ho dimaghi wa jismani taqat kamzor ho gaye ho in baato se yeh samajh lena chahiay k jis mei yeh aik bat bhi ho aur uski hewani aur roohani taqat kamzor ho is taqat ko pura krne k liay aisi dawayen wa ghazayen istemal ki jaayen jo is ki kami ko pura kar saken yani quwwat dene wali hon ,buri baaten jin se jism kamzor ho jaye ya sehat k liay nuqsan dah hon chorr di jaayen ,

"NASEEHATE AUR SHARTE"

Amal karte waqt bilkul na darna chahiay keon k woh tumhe kisi qisam ka nuqsan nahi pohancha sakta ,
Amal krte waqt apna khayal ko aik traf rakhna chahiay jahan tak ho sake ,
yehe koshish kare k amal logo ko muallam na ho yani logo ko ye na kehta phire K mere qaboo HAMZAD hai bal k koi raaz bhi na zahir hone de,
khamakha cheezen mangwa kr is ko tang na kiya jaaye,
har aik shart ko jo k lazmi hai kisi tarah kam na kare yani har aik shart ko pura pura istemal kare,
HAMZAD se beghair qeemat koi cheez na mangaye aur woh cheez foran khaa kr ya dekh kr wapis na kar de,
kisi ghreeb ya asmat orat ko nuqsaan na pohanche yani baaz na'ehal aisa krne lagte hen k orato k kaprre bhi utrawa k ar phenk dete hen,
kisi dushman ko dhoka ya is ki nawaqifiyat k sabab is ko nuqsan na de aur na he aisa nuqsan pohanchaye jo k HAMZAD k qaboo mei aane per nahi ho sakte the keon k moqa dekh kar dushman ka HAMZAD amil k HAMZAD se mil kar badla lene ki koshish kare ga,
jis tarah bhi ho sake yeh koshish krne chahiay k is ko tamam tamasho per na jaane de warna nuqsan hone ka darr hai ,
is se har aik waqt kam nahi lena chahiay haan agar koi zaroori kam ho to hukam dena chahiay ,
kisi aamil kisi raaja ya faqeer e kaamil ya us shakhs ko jo k KHUDA ki ebadat krta ho
is ko kisi qisam ka nuqsan de ga to andesha HAMZAD aamil se mun pher le ga jis se k aamil ko bohat bhari nuqsan uthana parre ga .

"HAMZAD AMAL KI AQSAM"

Amali tor per HAMZAD ki youn to bohat se qisme hen lekin hum ne in ko sirf chaar(4) hisso mei taqseem kiya howa hai ,
Pehli "ALWI aur SIFLI" ki hai, Dosri qisam "JANTAR,MANTAR" ki hai, Teesri qisam "TANTAR" ki hai, Chothi qisam "AKSI YA AEINI" ki hai, HAMZAD alwi bohat zeyadah qawwi hota hai aur sifli ka kam jis ko jantar kehte hen woh bhi bohat zeyadah quwwat wala aur ekhteyar rakhne wala hota hai , aksi aur aeini sab se kam taaqat wale hote hen in ki do qisme hen aik kaamil aur dosri naaqis , kaamil woh hai jis  mei puri taaqat mojud ho ,naaqis woh hai jo kisi bhi kaam k liay maslam ramal aur najvi aeini aks mashaghil se sirf siyyaro ka haal btate hen aur cheezen waghera nahi laa sakte , Aur aala qisam HAMZAD ki woh hai jis se murdah qabar se nikalta hai aur woh aise kaam kar sakta hai jo k jisam rakhne wale HAMZAD k hone se namumkin hen, aik HAMZAD ki qisam woh hai jo k khaas hindu logo k liay hen aur musalmano k liay alehdah hen.

HAMZAD AMAL DARJA AWWAL"

Is mei woh amal beyan kiya ja raha hai jis se sab se barri quwwat wale HAMZAD qaboo aa jate hen,

'jo mangal ya aitwar k din mare us k kaano ki rooye jo k ba'waqte ghusal aadmi k kaano mei daal diya karte hen le , rooye ko qaaboo mei kar lene per kisi se baat cheet na kare aur rooye ko aik box mei band kar de aur janaze k saath agar hindu hai to ( ......".....) parrhta jaye aur kisi qisam ki baat na kare agar muslman ho to (......".......) parrhta jaye, aur jab murdah ko dafan kiya jaye to dafnane se pehle kaan mei aayehista se keh de k (...'.......) yeh awaz raaste mei keh de matlb yeh hai jis waqt bhi moqa mile yeh aawaz de den, phir akela he apne makan mei wapis aa jaye aur aik sair bhar aata goodhe aur is aate ka charagh bana kar us mei ghee daal kar tayar kar le aur us rooye ko jo k murde k kaan se nikali gaye hai us ki batti bana kar charagh mei daale aur baqi aate ki 2 barri barri rotian pakaye aur rootian paka chukne k baad us per thorra sa ghee aur  Gurr rakh kar aur saath he woh charagh le kar theeak 12 baje raat k qabristaan pohanch jaaye jahan murda ko dafan kiya geya tha, phir qabar k darmiyan charagh rakh kar roshan kare aur rotio ko filhaal apne pas rakhe aur 2 ghante aik taraf dheyan rakh kar (....,,,..........) parrhta rahe itne arsa mei qabar pathe ge aur murdah nanga ho kar bahar nikal aaye ga , us waqt aamil ko laazim hai woh is se bilkul na dare wo is ko koi nuqsan na de ga , phir woh rotian jo  apne saath laaya hai murde ko dikha de jab murda rotian dekhe ga to tum se rotian mange ga to us waqt aamil ko chahiay k woh khoob apne roab-o-jamaal se is ko apne qabza mei karne ki koshish kare aur phir woh roti mange to us se sawal karo k tum hamara koi kaam kr sakte ho agar na kare to rotian dene se inkar kar do aur agar han kar de to daryaft karo k kon sa kaam karo ge to woh tumhe silsila war un kaamo ka naam btaye ga jo k woh kr sakta hai aur agar apni marzi ka koi kaam lena chahen to murdah ko bata diya jaye k yeh kaam Bhi tumhen krna parre ga, is liay tum ko is waqt ka khayal rehna chahiay k yeh wohe kaam hen jo awwal darja ka HAMZAD kr sakta hai aur yeh bhi hukam do k tum kisi waqt per hamare falan falan kaam jo k aamil ko HAMZAD se milne k haq mei yeh hen,

1- har aik jagah ki khabren aur waqiat batlana ,
2- jo cheez kahen un ko foran mahiyya krna is se pehle yeh bhi faisla kr lena chahiay k cheezen qeemat se laaye ga ya bila qeemat laane ka iqrar kare to us ko keh diya jaye k jo cheez tumhe beghair istemal k wapis kar denge wo un ki qeemat na den ge, aksar aisa hota hai k HAMZAD beghair qeemat k kisi cheez ko bhi laane ka iqrar nahi krta aamil ko chahiay k koye cheez beghair qeemat na mangaye, keon k aisa karne se HAMZAD  k jaldi choot jane ka andesha rehta hai, kya qeemat ٨‏ ‏har aik cheez woh pohancha dega agar pohanchaye ga to zeyadah se zeyadah wazan ki cheez laye ga aur yeh bhi wada le lo k tum ko agar bulana ho kis tarah bulaya jaye har waqt ki hazri bilkul manzoor na kare .
Aisa iqrar hargiz na lena chahhiay k kisi k barkhilaf kisi ko warghalaya jaye ya kisi orat ki izzat per haath dala jaye ya kisi k dhan dolat ko nuqsan pohanchaya jaaye, bal k aise kaam karne chahiay jo k jaayez hon aur munasib hon ,maslan agar kisi ne kisi ka maal cheen liya hai to asli malik ko maal dilaya jaye na k kisi aur ko nahaq cheen kar diya jaaye bal k cheez k malik ko woh cheez de di jaye, is k baad agar woh apne khane ki babat puche aur kahe k mujh ko har waqt pet bhar k khana milna chahiay to yeh baat hargiz manzoor na kare warna aakhir mei pachtana parre ga  jitna bhi kam ho sake itna kam kar dene ka iqrar kare yahan tak k 2 rotian aik mah tak lene mei raazi ho jaye to behtar , nahi to 2 rotian subah aur 2 rotian shaam ko aur saath he aik pesa ka gurr dene ka wada kare, is se zeyadah kisi haalat mei manzoor na kr le is se anaaj ka fayedah hai aur aik khas RAAZ bhi paya jata hai, filhal jahan tak ho sake kam ghaza dene ka iqrar kare aur jitna wada kiya jaye is se kam bhi Kisi haalat mei na de aur jo kaam jin k fehrist oper btaye gaye hai zeyadah na de, agar HAMZAD zeyadah kaam ka kahe to bhi bol kar aisa na kare warna pachtana parre ga,
baaz log aisa khayal krte hen k khas muddat tak wada kar lete hen jo 2o sal se zeyadah aur 30 sal se kam hoti hai k tum itne arsa tak hamare pas aana hum tum ko roti den ge is muddat k bad aane per roti nahi mile ge aisa nahi karna chahiay bal k jis waqt sab baaten ho jawen to is waqt is ko kisi kaam per bhejte raho aur kaho k falan waqt hamare makan per aao aur falan shakal ekhteyar karo aur raaste mei yeh kheyal na krna aur jab milna to aisi shakal tabdeel krna k aadmi tumhe dejh na sake bal k siwaye mere tumhe aur koi bhi na dekhe aur tum sub ko dekh sako aur na he tumhari aawaz sun sake,

murday k liay yeh sharayet hen jo neeche beyan ki gaye hen,

MURDA aisi haalat mei na mara ho jis se is k jism se khoon jari ho aur na he maqtool ho aur na he kisi qisam ka aaza toota howa ho,
marne wala , andha, loola, apahaj, Ganja, majnoo, aur jazami ya kisi daayemi bemari mei phansa howa na hona chahiay,
koye aisa bhi na ho k jis se aamil ki gehri dosti ho magar marne wale ki kisi se dosti na ho to koi dar ki baat nahi hai,
marne wala koi orat ,bacha, yani nabaligh na ho,
murdah jis qadar tandrust aur tawatwar hoga us qadar mufeed o behtar sabit ho ga, yeh zaroori nahi k murdah kisi hindu ya musalman ho lekin zaruri hai k murdah hona chahiay jo jalaya na geya ho bal k dafnaya geya ho, bal k yeh zaruri hai , jaga jisam sahee wa saalim ho aamil ko is bat ki ehteyat rakhni hai k murday se zeyadah kaam na le bal k hasb,e,zaroorat kaam le aur apne paas bulane ka waqt wo khud btaye ga lekin yeh daryaft kr liya jaye k khaane k waqt woh zaroor aaye ga aur yeh hargiz nahi kehna chahiay k HAMAZAD mere matehat hai khawah kitna he koi puche is raaz ko bilkul na btaya jaye