HAMZAD: Lawazmaat-e-Amal

: Asslam o Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barakatu :

Ham'nasheeno ! bohat sey dost amal e hamzaad key shoqeen hein aur is
baat tak sey waqif nahee hein key qudrat e khudawandi kee yeh makhlooq
kis qadar taqatwar aur apni azaadi ko barqaraar rakhney par musir hey.
bus aik hee dhun hey key issey musakhar kar lein aur buss. jo makhlooq
iss qadar taqauat war ho key jis kaa andaza
tak lagana naa mumkin ho to bhala wo aik youm, 7 youm, 21 ya phir sirf
40 youm mein kiunkar
qaboo mein aa sakta hey,. jahan tak mera zaati khayal hey jab ham 7
din ka amal shuru kartey hein aur saatwein din tak kaamyaabi kaa door
door tak shaiyba na ho, to ham kuch mayoos aur maghmoom se ho jatey
hein, yad rakhein yahi khawahish hey hamzaad kee keh wo hamein kamzor
iraada daikhna chahta hey, jesey hi 7 din
poorey huwey, ham naye aamil aur naye amal ki khoaj mein nikal
jatey hein aur koi neya amal azmaaney key liye tayar ho jatey hein.
yaad rakhein, aamilon ney jo jo amal hamzaad key liye bayaan kiye hein
un sab mein taqreeban 95% darust aur theek hein magar jesa k mein
pehley bata chuka amal mein kamyaabi hamarey 3 ya 7 ya 21 din poorey
honey mein nahin, balkeh apni ''quwwat e iraadi'' ko mazboot rakhney
mein hey, zara ghaour farmayein, jo b amal aap ko mileyga hamzad key
taskheer ka kisi ney bhee aisa nahi kaha key sirf 7din amal karein har
soorat mein hamzaad hazir hoga, balkeh jitney
bhi dino ka amal unho ney deya sabhi ney yahi kaha key iss amal key
teen 3 chilley poorey karein phir yeh bhi kaha k allah ko manzoor huwa
to hamzaad hazir hoga aur ejaab o qabool key baad tabaiydaaree karga.
mein bohat dafa pehley bhee is baat ka tazkira kar chuka hoon key
amley hamzaad jahan apko hamzad ko taskheer karney key baad dunya mein
kamyaab tareen
insaan bana deta hey, is doulat e bey baha ki sharaiyt bhee utni he
karri aur sakhat bhi hein. magar ham sab doston kee aik he ratt hey k
1 ya 2 dino ka amal dey dein, parhaiz bhi koi na ho, mein akaila nahin
baith sakta, raat ko zeyada daiyr tak jaag nahi saktaa, ye nahin kar
sakta wo nahee kar sakta to dosto aap zindagee key aur baqi
masroofeyat ko nibhayein aur maazrat key sath kahoonga keh ap
taskheerat ka shouq na farmayein.
mein chahonga keh isi post mein aik tafseel likh don parheiz jaat,
pabandyan, bakhoorat, sharaiyt o-zawabit baraye amal e hamzad, aur
akheer mein amal b dey donga.. magar saath mein aik guzaarish bhee
krunga keh amal ko inhee sharaiyt wa zawabit key saath karein mazeed
tafseel chahein to key email addresses par rabta karein ya aap comment
mein bhee apni mushkil aur sawaal likh saktey hein. bohat zeyada
uljhano mein daaley baghair saada, asaan aur wazeh ahkaamat e amal
mein apkey samney mukhtasir magar jamey alfaaz mein bayan karney wala
hoon, is par hamesha karband rahein.
(musasib laga to in sharayet ki mazeed wazahat b
kar dee jayga aur isey update bhi kar deya jayga.)

Reply
Forward
Atifawan
Jun 17 (2 days ago)
to me
HAMZAD: Lawazmaat-e-Amal

: Asslam o Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barakatu :

Ham'nasheeno ! bohat sey dost amal e hamzaad key shoqeen hein aur is baat tak sey waqif nahee hein key qudrat e khudawandi kee yeh makhlooq kis qadar taqatwar aur apni azaadi ko barqaraar rakhney par musir hey. bus aik hee dhun hey key issey musakhar kar lein aur buss. jo makhlooq iss qadar taqauat war ho key jis kaa andaza
tak lagana naa mumkin ho to bhala wo aik youm, 7 youm, 21 ya phir sirf 40 youm mein kiunkar
qaboo mein aa sakta hey,. jahan tak mera zaati khayal hey jab ham 7 din ka amal shuru kartey hein aur saatwein din tak kaamyaabi kaa door door tak shaiyba na ho, to ham kuch mayoos aur maghmoom se ho jatey hein, yad rakhein yahi khawahish hey hamzaad kee keh wo hamein kamzor iraada daikhna chahta hey, jesey hi 7 din
poorey huwey, ham naye aamil aur naye amal ki khoaj mein nikal
jatey hein aur koi neya amal azmaaney key liye tayar ho jatey hein. yaad rakhein, aamilon ney jo jo amal hamzaad key liye bayaan kiye hein un sab mein taqreeban 95% darust aur theek hein magar jesa k mein pehley bata chuka amal mein kamyaabi hamarey 3 ya 7 ya 21 din poorey honey mein nahin, balkeh apni ''quwwat e iraadi'' ko mazboot rakhney mein hey, zara ghaour farmayein, jo b amal aap ko mileyga hamzad key taskheer ka kisi ney bhee aisa nahi kaha key sirf 7din amal karein har soorat mein hamzaad hazir hoga, balkeh jitney
bhi dino ka amal unho ney deya sabhi ney yahi kaha key iss amal key teen 3 chilley poorey karein phir yeh bhi kaha k allah ko manzoor huwa to hamzaad hazir hoga aur ejaab o qabool key baad tabaiydaaree karga.
mein bohat dafa pehley bhee is baat ka tazkira kar chuka hoon key amley hamzaad jahan apko hamzad ko taskheer karney key baad dunya mein kamyaab tareen
insaan bana deta hey, is doulat e bey baha ki sharaiyt bhee utni he karri aur sakhat bhi hein. magar ham sab doston kee aik he ratt hey k 1 ya 2 dino ka amal dey dein, parhaiz bhi koi na ho, mein akaila nahin baith sakta, raat ko zeyada daiyr tak jaag nahi saktaa, ye nahin kar sakta wo nahee kar sakta to dosto aap zindagee key aur baqi masroofeyat ko nibhayein aur maazrat key sath kahoonga keh ap taskheerat ka shouq na farmayein.
mein chahonga keh isi post mein aik tafseel likh don parheiz jaat, pabandyan, bakhoorat, sharaiyt o-zawabit baraye amal e hamzad, aur akheer mein amal b dey donga.. magar saath mein aik guzaarish bhee krunga keh amal ko inhee sharaiyt wa zawabit key saath karein mazeed tafseel chahein to key email addresses par rabta karein ya aap comment mein bhee apni mushkil aur sawaal likh saktey hein. bohat zeyada uljhano mein daaley baghair saada, asaan aur wazeh ahkaamat e amal mein apkey samney mukhtasir magar jamey alfaaz mein bayan karney wala hoon, is par hamesha karband rahein.
(musasib laga to in sharayet ki mazeed wazahat b
kar dee jayga aur isey update bhi kar deya jayga.)