Asslam o Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barakatu :


JIN PE AMAL NA KARNEY KI PABANDI HEY:

1.dimaghee amraaz waley mareez, kamzor, beemar, bawaseer key mareez, zakhmi halat
wala shakhs, ba'ad feili ki aadat wala shakhs, har waqt haiwaniyaatee fitrat, lazzat e
shahwaat aur napak khayalat zehn mein rakhney wala skhs. in tamam afraad mein se koi b
amal e hamzad shuru na kareyjb tak in pabandiyoon se chuttkara na pa ley.

AMAL SHURU KARNEY SE PEHLY KI SHARAIYT:

1. aamil e hamzad ko chahye ko a'aala ikhlaq apney aur gunaah aur aaiyboon ko apney
nazdeek na aney dey.
2.aamil e hamzad ko mazboot iraadey aur tawana qalbi quwat wala hona chahye.
3. amal shuru he mat karein agar ye yaqeen na ho key mukammal b kar sako gay ya nahin. ya
amal beech mein chhorney ka andesha ho to amal shuru na karna hee behtar hey.
4. apney asaab ko mazboot banayen aap ko dooran e amal khofzada bhe kiya ja sakta hey
esa na ho k zara see ahat pe bhee dil esa dharak shuru ho jaye
key khuda ki panah. kiun
key amal hamzad mein logo ka intaqal bhi ho jata hey, hamzad key nuqsan punchaney keewaja se nahin, balkeh khud aamil key itna darr janey se key uska heart hee fail ho jata heyaur jaan se hath dho baithta hey.
5. agar aap ne amal shuru kar deya magar mukammal na keya aur kisi bhee wajah se amal tarak kar deya to hosakta hey hamzad apko nuqsan punhchye.

DOORAN E AMAL PABANDYAN:

1.jis kamrey ya jaga pe aap ye amal shuru karein wahan koi doosra dakhhil na ho, aur wo
jaga sirf aap se manoos ho, jabtak aap amal kar rahey hein.
2. shahwaat wa haiwaniyaat se mukammal parhaiz
3. kalaam, manaam ta'aam, kam kar dey. (guftagoo, sona aur khana), kaam khaye aur esa
khaye jo zood hazam ho, takeh tabeyat pe bojh na baney. raat ko amal parhna hey to din ko
so liya karey taakeh raaz mein neend ka ghalbaa amal mein rukawat na daaley.
4. doraan e amal khooshbooyaat aur bakhoorat har soorat jalti rahein.
5. amal k barey mein ya hamzaadkey barey mein bilkul bhee apneydil mein shak paiyda na
honey dein.
6. apna sabaq jo b aapney parhna hey uska waqt, libaas, simt aik hee rahey, baldein mat.
7. ghusa, larai, jhagra, aib joee, gheebat waghera sb se parhaiz karein aur kitaboon key
mutaliya hee apna shughal rakhein jo keh behtreen hey.
4. apna amal ya azeemat ko theek se parhein zair zabar ki ghalti na ho.
5. mukammal parhez jalali rakhein, agar nibgha sakein to roza b izaafi tour par behtar hey magar kam az kam parhaiz jalali zaroori hey

EHTAYATI TADABEER DORAAN EAMAL E HAMZAD

1. dooran e amal apko hamzad dhokey dega, darayga, khawah makhah ki masroofeyaat
janam lein gee, ye sab kuch hamzad ki taraf se hoga takeh aap apna amal tarak kar dein
2. apney amal e hamzad ko sab se posheeda rakhein. aur kisi se bhee iska tazkara na karein
keh aap hamzaad ko musakhir
karney ka amal kar rahey hein. siway apney peero murshid
ya us shakhs key jis se aap bazahir rahnumayee ley rahey hon
3. apka amal jitney din ka bhi ho wo pehla chilla kehlaye ga, so pehley chilley mein hamzad
haazir ho b jaye to agar aap key din aur tadaaad poori nahi huwi to apney ne akalm nahi
karna. chahey hamzad kuch bhe ap ko kahey jisey mein khud aa gaya hon, tmhein ab amal
karney ki zaroorat nahin waghera waghera
3. kisi bhi amal k bataye gaye dino ko pehla chilla maney, aur agar pehly chilly mein hee
hamzad zahir hota hey to thekwarna usee amal key 3 chilley lazim karein teesry chilley mein
zaroor ajata hey hamzad
4. apna hisaar laazmi karein
5. agar shama jaalaa kar ya chiraagh jalana maqsood ho to sarson ka tail istemal mat karein, balkeh koi khoshboo wala jesey chanbeli ka tail istemal karein.
6. hamzad haazir ho jaye to us se sharaif soch samjh kar tey karin, uski koi shart na maney balkey uski shart ko apney liye mazeed asaan kartey jayein, usey koi etiraz na hoga, lehaza ap ny uski koi shart nahi mannani.apni sharayet manwaye aur hamzaad ko doobara bulaney ka tareeqa bhee tey kar lein
mazeed koi sawal poochna ho to ap email bhee kar saktey hein
Aur comment b kar k puch sakty hen..